Har koi tumhara hissa mangta hai
Sab lete hi jaate hai
Kabhi sochte bhi nahi ki
Koi kitna de sakta hai
Shayad kismet main gavana hi likha hai
Paana nahi.
Umar k saath ab gumm se gaye hai hum
Ek kinara doodh k, sone ka mann karta hai.
Sochte thei kabhi bade kaam karein ge hum
Doosro mein butt'te butt'te apna vajood hi kho chuke hai hum
Lagta hai poorane dosto se mil kar kabhi kabhi
Shayad bacha hai thoda sa hissa baaki mujh main kahi
Par itna aage nikal aaye hai ab
Ki usse doodhna ab mushkil lagta hai
Beet jaaye gi ab baaki ki bhi zindagi
Kya farak parta hai
Kaafi to beet gayi hai aise
Kal ka kise pata hai.